Thursday, April 30, 2009

Jhumka (Punjabi Nazm)




Jhumka




Kash maiN tere kann da jhumka hunda
tere kann ch hamesha jhoolda hunda
Raatti be-khabri naal kade machal jounda
tere kann choN maiN nikal jounda
jadd tadke teri zulfaaN cho girde phull musse l
tu tadapadi mere layii ho ho ke gusse
tum labdii mmennuu bistar de vattaN vich
maiN murh murh ohde ch chhup chhup jaunda
Vekhda main tadap mere layii
terii ugaliyaaN da sake jad mmannu ounda
Kann toh harhij na utaardi mennu
judayii v kade na hundi gawara tennu
kash maiN tere kann da jhumka hunda



kisi post toh prerit ho ah prastuti likhi hai umeed hai pasand aaugii


--Tum aaye toh lagta hai Husn ka didaar hua
Aashiq tire bahut ik shaks our bimaar hua.

***

Woh nahiN hai mera magar maine ikraar kiya hai
Ab Sach kahuN toh uski bagawat se pyar kiya hai

***


Harash

Kaisa hai ab shor yahaaN par, dikhte haiN ghabraye log


Kaisa hai ab shor yahaaN par, dikhte haiN ghabraye log
DooNda karte pyar yahaNpar  sadiyoN se thhukraye log.

Bik jate imaan yahaN per bik jati haiN neeyat bhi
Zarra-zarra Loota humse, jab-jab milne aaye log.

Khatam hue haiN jazbe dil ke khatam hue saaer ahsaas
Apne hi kaaNdhoN par phirte apni laash uthhaye log.

Har InsaaN ke dil meiN uth.ta pyaar ka ik aisa tufaan
Jiske bahaane jee paate haiN hum jaise pathhraye log.

Kafan adhoora lakdi adhoori adhoora apnoN ka imaan
Chita se uth.ti aag se dekho Ghar ka deep jalaye log.


Harash

2222 2222 2222 2222
Beh'r- mutdaarik musamman maktuu'a shaanzdah rukni

-KhayaloN me mere Agar tum na hote


KhayaloN me mere Agar tum na hote
Yaqeenan Guzarti umar rote-rote.

YuN likhte hue 'Gum' qalam dagmagaye
Thaka huN ai sahil ye hunar ddote-ddote.

paher aakhiri jab shab-e-hizraN beeti
Lute is kader hum saher hote-hote.

HaiN dushman mire is jahaaN me bahut ab
Bachi hai na ziNd dar bader hote hote.

Falak per sitare yuN aaheiN bhi bharte
Jo dekheiN mire armaN zaher hote-hote.


Harash

122 122 122 122
Beh'r mutkaarib musamman saalim

***

एक तरही ग़ज़ल पेश है....काफी अरसा पहले कही थी....


ख्यालों में मेरे अगर तुम न होते
यकीनन गुजरती उम्र रोते-रोते |

यूँ लिखते हुए 'गम' कलम डगमगाए
थका हूँ ऐ  साहिल ये हुनर ढोते-ढोते |

पहर आखिरी जब शब्-ए-हिज्राँ बीती
लुटे इस कदर हम सहर होते होते |

हैं दुश्मन मिरे इस जहां में बहुत अब
बची है न ज़िन्द दर-बदर होते-होते |

फलक पर सितारे यूँ आहें भी भरते
जो देखें मिरे अरमान ज़हर होते-होते |

..............हर्ष महाजन

122 122 122 122
Beh'r mutkaarib musamman saalim


 

Wednesday, April 29, 2009

- Ek Sher


Kitni Rahat Mili hai Dil toot jaane ke baad
ZiNdagi se jaa mile Mout ke aane ke baad

Sunday, April 26, 2009

Chura loonga tera jamaal jara sambal ke rakho



...
 
-Chura loonga tera jamaal jara sambal ke rakho
Husn ho chala tera kamaal jara sambal ke rakho
.
Behak na jao mere ishq ke saroor maiN ab tum
chatpataye na mera khayal jara sambal ke rakho
.
Jawaab jinke nahiN hai meri mohabbat ke siva
chashm pooche jo sawaal jara sammbal ke rakho.
.
Hunar hai tera le gaye tum dil ki gehraiyoN maiN
kajal na looN tera nikaal jara sambhal ke rakho
.
Tum aks laakh chupate raho ai 'harash' magar
Samajh looNga dil ka haal jara sambal ke rakho.


Harash 


-MaiN jab bhi aata hooN dil ko saja ke rakhti ho
Badan Gulaab toh dil maikeda bana ke rakhti ho.

bahoot azeez hai mujhko tilism teri nazroN ka,
Sharbati aankhoN maiN jab jab saja ke rakhti ho.

Kadam fisal na jayeiN mere husn tire shabab se
saja ke kitne gulaab dil maiN chhupa ke rakhti ho.

Raah na bhool jaooN kabhi andheroN maiN yarab
shayad tum isi liye dil ka diya jalaa ke rakhti ho


Harash 

-Aadmi ko chaahiye,apne liye do gaz zameeN,
Jaane phir kyuN doondta hai bewajeh dheroN zameeN.

Kaun jaane Zindagi ka ye diya kab tak jale,
Khud hi gamoN ki baad meiN behne lagi apni zameeN.

Banke meethe shabd bheduN kyuN kisi ka dil abas,
Sabka apna aasmaN hai, sabki apni hai zameeN.

Dekh kar aaina khud se bharosa uth gaya,
Beshak khuda se mangta hai ‘harash' ab do gaz zameeN.


~~~~*Harash*~~~~

-Ik muddat baad barsii haiN merii aankheiN kisii kii khaatir
badii muddat baad dil kii zameen phirr se harii hui hai



-Mere har hasieN jalwe tire liye haiN
Par ye sab kabhi batana nahiN tha....

Kyu tum mujh se kahafa rahi abhi tak
Ye kabhi tumeh samjhana nahiN tha....

Ye umra tamaam hui terii raah takte-takte
Ye dard mujhe kabhi chhupana nahiN tha



Harash

-Ki pe gallaN kerde ho dua di aajkal
Log mout da rasta V rok lende ne

Katra katra khoon da, zism choN kad ke
vaheshiaaN vaangu muh naal soukh lende ne.

Aajkal marham da te koi mull hi nahi nimaniye
Log te apneaaN nu hi gard vich chouk lende ne.

Mout da din te pahelaaN hi mukarar ni balliye
samajdaar agle janam pahilaaN hi sanwar lende ne.


Harash

Ek Trahi Gazal

Ek Trahi Gazal

-Ghar chhoRh ke bhi Zindagii hairaanioN maiN hai
Nafrat bhi shola ban ke ab parchhaaiyoN maiN hai.

Dushman bana hai ab mere janam ka raajdaaN
Ab is kader woh dost MeherbaanioN maiN Hai.

Woh be-wafaayii kerke bhi sharmiNda na hua
Baicheni usko our bhi peshaanioN maiN hai.

Royaa kiye jo chashm dekh sitam yuiN gairoN ke
Woh aaj ke iss dour ki kahaanioN maiN hai.

Koi toh de pata Usey merii mazaar ka
Ik umra se ye rooh pareshaanioN maiN hai.



Harash

-Apni in yadoN ko mita kyu nahi dete
jo ja chuki hai bhula kyu nahiN dete

Jinke Zakhmo ko inayat hai teri sahil
unke zakhmN ki dawa kyuN nahi dete

Harash

Chun-chun ke kahi hamne Ghazal apni zubani


-Chun-chun ke kahi hamne Ghazal apni zubani 

Chun-chun ke kahi hamne Ghazal apni zubani
Kutchh tum bhi kaho apni Ghazal apni zubani.

Chun-chun ke..................

Hamko mili har mod pe, bhar-bhar ruswaayii,
Tum bhi kaho kya hai mila , yuiN ker ke bhalaayii,
Har zulm ab kehta hai khud, apni hi kahaani,
Kutchh tum bhi kaho apni Ghazal apni zubani.

Chun-chun ke..................

Dewaana banaa baiThaa tha jab husn pe dera,
is ashiqi ke shole ko ik aag ne Ghera,
ZulfoN ke siyah saaye maiN, ab jalti jawaani,
Kutchh tum bhi kaho apni Ghazal apni zubani.

Chun-chun ke..................

Shatranj ke har khel maiN, hum uzde khade the,
Our taash ke patto ki tarah bikhre pade the,
Jab dekha ,thii har patte pe Ik Ghazal puraani,
Kutchh tum bhi kaho apni Ghazal apni zubani.

Chun-chun ke..................


-Her taraf khauf bhi, gam bhi, shikayat bhi hai,
Zindagi maut ki her waqt inayat bhi hai.

Derta her aadmi se aadmi ab jaane fir kyuin,
Pooja mandir me, masjid me ibadat bhi hai.

Bheed ab roz lage yuin chourahe per kyuin,
Sir-firey ladte hain, ye unki virasat bhi hai.

Serhadein pyar ki yuin toot-ker nafrat faili,
Zindagi maut se badker kyamat bhi hai.

'Harash 'ab khauf gam nafrat ko mita ik din,
pyar wo hai shama, khud ki amanat bhi hai.


@harash



Mere Dil ki GehrayioN ko na chhoona

Akeli haiN, TanhayioN ko na chhoona

Har ik taar toota hai dil ka toh mere
shikistah haiN shehnayioN ko na chhoona

Nichhavar hai Tujpe ye jaaN bhi magar,
Kabhi dil ki GehrayioN ko na chhoona

Kahte hain woh ki shola-badan hooN maiN
Muzhe chhoo ke ruswayioN ko na chhoona

Tumeh yeh GumaaN hai, chhoo loge har shai par
Andhere maiN parchhayioN ko na chhoona.


harash mahajan@copyright





ग़ज़ल
मेरे दिल की गहराइयों को न छूना
अकेला हूँ , तन्हाइयों को न छूना |

हर इक साज़ मेरे दिल का है टूटा
शिकिस्ताँ हैं शहनाईयों  को न छूना |

निछावर है तुझ पे ये जाँ भी मगर अब
कभी दिल की बुराइयों का न छूना |

कहा था किसी ने कि शोला बदन हूँ
मुझे छू के रुसवाइयों लो न छूना |

तुम्हे ये गुमाँ है कि छू लोगे हर शै
अँधेरे में परछाइयों को न छूना |

_____हर्ष महाजन
beh'r
 122-122-122-122

This Ghazal is edited by shri Chaman ji on 25/06/2007

Dil-e-gamzada ko sataoge kya tum


Dil-e-gamzada ko sataoge kya tum,

Muzhe baar-baar aajmaoge kya tum.

ye hum haiN ki ab tak pareshaaN nahiN,
Shab-e-hizra ki taab laaoge kya tum.

Bas itni si ik baat maiN poochhta hooN,
Kabhi muzhko apna banaoge kya tum.

Na chhorenge mar ker bhi daman wafa ka,
Jo wada kiya tha nibhaoge kya tum.

Gam-e-zindagi zindagi ban chuka hai,
Rula ker mujhe ab hasaogey kya tum.

'Harash' aaj mulk-e-adam ko chala hai,
Is baar zindagi main aaoge kya tum.



Harash


-Rukh se hatega parda aaj mere naseeb ka,
Kaisi milegi dulhan aaj lage ajeeb sa.

Bachhpan se ab talak, jehen mein thi basi hui,
Tasweer unki ban gayee mukaddar gareeb ka.

Suna kiye the daastaa.n unke mureedo.n ki,
Kuchh dooria.n hui, magar lage kareeb sa.

Dastak jo na umeedi mein unko diya kiye,
Ye jaankar bhi rishta ab bana saleeb sa.

Jakhmo.n se ban chuka hai dil pe har taraf mahel,
Dulhan wo ban gayee magar lagoo.n rakeeb sa.

Harash

-Aap gar hamko mil gaye hote
Phool do khud hi khil gaye hote

Hamko tum yuin hi ghura kerte ho
Hont toh khud hi sil gaye hote.

Gair sang yuin hi phira kerte ho
Ham yahan khud tal gaye hote.

Kyuin jalane ki baat kerte ho
Ham yaha khud hi jal gaye hote.

Aapki nazron ki inayat hoti
Dil ke perde hil gaye hote


@harash

-Kabra per meri woh shama jalate rahe,
Mout per yuiN hi woh dil behlaate rahe.

Roundh-ker har khwaiish meri panv tale,
Be-basi per yuiN hi woh muskrate rahe. 

AshquoN ki thi tapish jo meri kabra per,
Un se apne zakhm hi sehlate rahe.

Ye soch ker ki aakhiri saya tha main,
Woh toh sar per mout se mandrate rahe.

Ab kabra meiN bhi neend mujhe ati nahiN,
Ik umra se kisse jo hum chhupate rahe.


@harash

Kya soch ker is Shaks ko bhulaya tumne



-Kya soch ker is Shaks ko bhulaya tumne
mire Ghar se hi jalta diya uthaya tumne.


De deke duhaayii apne gamoN ki yahaN
Kya kutchh hamse yuiN chhupaya tumne.


Dikha yuiN bulandhiyaaN Tanha ker diya,

Ye kaisa manzer-e-dard banaya tumne.

Na aoge khaboN me raheiN muntazir toh bhi,

Kambakhat Aisa kya Dard paa liya tumne.

Zakhm khaya hai kahiN, kya khata hamse hui

Salaam akhiri kaise ? dil ko mana liya tumne ?

Dil todne ki jaroorat kahaaN hai 'harash'

Akele yuiN rone ka sabab bana liya tumne ?


Harash

Ik Aas



Kisi post se Prerit ho ker iss kavita ka asal roop badal ker.....kuchh ahsaas daal ker pesh karne ki koshish ki hai..........is kavia ke bhaav poori tarah mere nahiN ha


Ik Aas


____Mere priye
mere antarman maiN
Jagah paane waale.....
mere har ahsaas ko
jan.ne waale...
____Jab kahi
duniyaa se be-jaar ho jao
our rone ka man kare......
mere paas aa jana!!
______wada toh nahi
Tumeh hasaane ka.......
Per itna toh jaroor karooNga
tum sang usi tarah ro dooNga.

______Phir kisi din
Tum is be-zaarZindagi se
bhaagna chaho....
Bina Jhijhak.....
Mujhe Bulana jaroor!!!!!
_____MaiN tumse wada toh nahi kerta
Ki tumeh... maiN rok sakooN.
Per itna wada jaroor kerta hooN
Ki tum sang bhaag chalooNga.

____Khuda na kare
Koi aisa waqt aaye 'harash'
Tumeh koi sun.na na chahe!!!!
______Is shaks ko pukaar lena...
Main tumse wada kerta hooN
Main bilkul chup rahooNga.

_________Lekin
Mere dost.... mere dard ke sahil....
Kisi Din.....gar aisa ho
tum mujhe pukaaro...
Our koi jawaab na aaye..????

Toh Jaldi chale aana
Shayad Mujhe ...
Tumhaari jaroorat ho.

Shayad Mujhe
Tumhaari jaroorat ho.


Harash


-Tu RakeeboN Ki jaanib Sarakti Rahi,
MaiN Sulagta raha Tu behekti Rahi.

MaiN tere Anjuman meiN Yuin hi Raat-Din,
Bas tehelta raha tu bhikharti Rahi.

KyuiN tu GairoN ki mehfil meiN hansti Rahi,
MaiN toh Ghut.ta raha tu machalti Rahi.

MaiN toh jazbatoN se khwab bun.ta Raha,
Tu wafa karke bhi kyuiN palat.ti Rahi.

Main teri rahoN se shool chunta Raha,
KyuiN ye dard AahoN meiN tu badalti Rahi.

Mere khwaboN ki mehfil meiN laout Aao Tum,
Meri Manzil Yahi Tu Kuchalti Rahi.



Harash

212 212 212 212
Beh'r
Mutdaarik musamman saalim

-Is jahaaN ne mujhe kutchh Diya hi nahiN
Our Dega bhi kya muzhko maloom nahiN.
Soort-e-haal apni sunaoo mein kya
Shikwe haiN is jahaan se kya ? maloom nahi.

Is zamaane ne Chheena mera baalpan,
Our le li hasieN meri de diye Gum,
In gamoN se dil mera chhalni hua,
Kya sambhal payega ? muzhko maloom nahiN.

Jab mila tha mujhe mera pyaar jawaaN
Toh Thhoker padi our hua woh fana
jo bhi armaan maine chune the kabhie
kya milenge kabie? muzhko maloom nahiN.

Waqt AshqoN mein mera woh kat jaayega,
Our AahoN mein meri badal jaayega
Tab keher ban ke tootengi AanheiN meri
Kya woh ruk paayengi ?muzhko maloom nahiN.

Harash


-Ibtada hai pyaar ki, palbhar palat ke dekh,
Aankhen jawaa.n hai.n aapki, apni nazar se dekh.

Is dil ke gulistaa.n me.n, khilo bhi phool ban ker,
Dil ki udaas basti me.n, palbhar thheher ke dekh.

Kaash! ham bhi miltey, dharti gagan ke jaise,
hota hai chaak seena, Na tircchhi nazar se dekh.

Dil me.n teri yaadei.n, baithi hai.n ghar banaaye,
Seene ki meri darken, dil se sun ke dekh.

Tera bana hoo.n saaya gair nahi hoon 'Harsh',
khwaabgah me.n mere, kadam toh rakh ke dekh.





~~~~*Harash*~~~~




..

इब्तिदा है प्यार की पलभर पलट के देख
आँखें जवान हैं आपकी मेरी नज़र से देख ।

इस दिल के गुलिस्तान में खिलो भी फूल बन कर
दिल की उदास बस्ती में पलभर ठहर के देख ।

काश ! हम भी मिलते धरती गगन के जैसे
होता है चाक सीना न तिरछी नज़र से देख ।

दिल में तेरी यादें बैठी हैं घर बनाए
सीने की मेरी धड़कन दिल से सुन के देख ।

तेरा बना हूँ साया गैर नहीं हूँ 'हर्ष'
ख्वाबगाह में मेरे कदम तो रख के देख ।

_______________हर्ष महाजन ।





-InsaaN ki fitrat kya kahiye, murdoN mein khazana doond liya,
KahaaN beche Zism ke ango ko, uska bhi thhikana doond liya.

ChhoreiN na marghat meiN woh kafan, kerte na har tan ko woh dafen,
InsaaN ki keemat kutchh bhi nahiN, Apno ne thhikana doond liya.

Noukar ho chahe vyapaari, Chahe ho baabu sarkaari,
Doulat ke bhookhey-nango ne, unka bhi thhikana doond liya.

KishtoN mein jab log bikney lage, Apno ke sung woh dikhne lage
Ahsaas mare yuiN apno ke , unko fuslaana doond liya.

Jab pal-pal yuiN hi marne lage, Aise manzer jab chalne lage,
Toh Umra ghati shaitanoN ki, Jab 'Harash' Dewana Doond liya.



Harash

-Rukh se hatega parda aaj mere naseeb ka
kaise milegi dulhan aaj lage ajeeb sa

Bachpan se ab talak zehen mein thi basi hui,
Tasweer unki ban gayi muqadder Gareeb ka.

Suna kiye the daastaN unke mureedoN ki,
Kutchh dooriaN hui, magar lage kareeb sa.

Dastak jo na umeedoN mein unko diya kiye,
Ye jaanker bhi rishta ab bana saleeb sa.

ZakhmoN se ban chuka hai dil pe har taraf mahel,
Dulhan woh ban gayi magar lagooN rakeeb sa.


Harash

-Badi chot khayi jawaaN hote-hote,
Guzre haiN ishq mein ranwa rote-rote.

Zamane ne likh di hai be-wafayii,
thake hum yahaaN ilzaam ddote-ddote.

Kiske liye hum jeete haiN saahil,
kabhie toh tu khwaboN meiN mil sote-sote.

Tamanna hai fursat se ZulfoN ko teri,
sawarenge hathoN se hum khote-khote.

'Harash' na baser ho ye zindgaani,
Riste hue ye zakham dhote-dhote.


Harash

-Dil ki kitaab ke safe khola kiye haiN hum,
Apna zameer aap hi tatola kiye haiN hum.

TanhayioN maiN jab-jab be-chainiyaN badieN
ParchhayioN se apni bola kiye haiN hum

Humako na mayasser kabhi araam do gadi,
Dil ki tapish ko aaj bhi shola kiye haiN hum.

Hai khaak nasheman magar dil maanta nahiN
kitna Abhi baaki lahoo tola kiye haiN hum

Aashar ghum hue kahiN itna hue safal
Hosho-hawaas mein Zeher ghola kiye haiN hum.



Harash

-Badli mein hai chaand dewana poochhega,
Muzhko mera yaar purana poochhega.

Shakal se meri nafrat usko be-panah,
kho gaye toh thhor thhikana poochhega.

Inteha yuiN zulm ki lagta ho gayi,
kerkey woh muzhko baigana poochhega.

Jaag uthhey nafrat na mere dil mein ab,
fir woh milne ka bahana poochhega.

Mehfil mein magaer shaamil hue,
KahaaN lut gaya khazanma poochhega.

Tooti jo tasweer liye tha dil mein 'Harash',
KahaN gayi sara zamana poochhega.


Harash
-akhoN se Tapakta her katra, Aansu hoga tum kya jano,
Her Dard meiN jo sung rahe mitra, Sahil hoga tum kya jano.

Jab rooh tadpe our chashm jhareiN, unko hi aansoo kehte haiN
Jab kapat jhare Akhian se kabhi , aansoo hoga tum kya jano.

Gum meiN woh kabhie daman meiN gireiN, unko hi aansu kehte haiN,
kabhi tapak pade bairang katra, aansu hoga tum kya jano.

YuiN khwaboN meiN akhiyaN num ho kabhi, unko hi aansoo kehte haiN,
Jab ban chhal ashq abas hi gire, aansoo hoga tum kya jano.

Jab katal hoN armaN tapak padeiN, unko hi aansoo kehte haiN,
Jab be-mousam yuiN dikhne lage, aansoo hoga tum kya jano.



Harash