Sunday, April 26, 2009

-Dekh masumiat kalioN ki phooloN ki ibadat chhorh di,
Maali the hum jis bagh ke uski bhi hifazat chhorh di.

FizaN meiN bheegi sham ho tum pyaar meiN chalakta jam ho,
Doonda kiye tumko yahaaN wahaN humne toh shrafat chhorh di.

AkhiyoN mein shrarat aapki, shokhi meiN nazakat aapki,
Aisa bhi ab sharmana kya, humne toh shrarat chhorh di.

Chhalka dooN apni aankh ke maiN ashq tumhaari aankh se,
Aisi hai mahek mere pyaar ki humne woh maharat chhorh di.

Tum laout ke aaoge kabhi tera wada tha har pal yahi,
har Shab jo tira intzaar tha, humne woh aadat chhorh di.

Ghayal jab apno ne kiya, GairoN se ab hai kya gila,
Uthha leiN chahe khanzar sabhi, humne toh khilafat chhorh di.


Harash

No comments:

Post a Comment