Tuesday, June 15, 2010

Saffar Zindagi ka mujhe har simt nibhana hai

Ghazal

Saffar Zindagi ka mujhe har simt nibhana hai
Dushman mire bahut par tu ik dost purana hai

Mera har shabd bana hai tere hi shabdoN se
Unhe bas apne sheroN meiN bithhana hai.

Dard se bhara hai mere sheroN ka har misra
Tujhe ab ik-ik karke lamha-lamha sunana hai.
 
kab tak thaame gi tujhe, teri saanso ki Dore
Mujhe aaker. tujhe sapno meiN batlana hai.

Jee bhar ke jee lo is Zind ko jo asaaN toh nahiN
Dard ko bhoolne ka yahi ik sabab suhana hai.

Khuda ko bhi ab
sun.na hoga, meri faryaad ko 
Ke 'Harash' ko abhi ik roothha dost manana hai

Harash Mahajan @

Saturday, June 12, 2010

DuayeiN kerne wale dost

DuayeiN kerne waaloN se koi keh de ke baaz aa jaayeiN
KahiN mere aakhiri saffar meiN koi Rukawat na aa jaaye.

Saturday, June 5, 2010

Meri maiyyat pe aake chadaye tu phool

Nazm

Meri maiyyat pe aake chadaye tu phool
Dard hota hai kitna tu kya jaane hai.

KyuN tira naam lene ki izazat nahiN ab
MaiN tadapta hooN kitna, tu kya jaane hai.

Yaad aati hai Mujhko un Gujre lamhoN ki,
Woh khat jab padooN hooN, tu kya jaane hai.

kooche se Tire ab, koi talluk nahiN hai,
Par Gujarta hooN har roz, tu kya jaane hai.

Waqt ne chheena mujhse mera aashiaaN bhi,
Kya hui saajisheiN ab, tu kya jaane hai.

AshquoN ki mehfil hai sajne lagi ab
SamaNder hue gum, tu kya jaane hai.


Harash mahajan@copyright