Saturday, July 31, 2010

Be-wafayi ki tohmat lagey na

Nazm

Be-wafayi ki tohmat lagey na, ye batana mera farz hai
Dard itna diya hai toone, meri saansoN me bhi darz hai

Seh raha hooN dard-e-zubaN bhi, zeher bhujhe tere teeroN ki
Nikal rahieN jo aaNheiN meri, samjheNge yahi ab karz hai.

Hunar ye toone seekha kahaaN se, kar diya jo mujhko alvida
Gila karooN kya ab khuda se, sochta hooN tira ye marz hai.

Rahe na rahe tu sang mere, dard dil meiN rahega sada
Riste zakham ab dekh ker, mujhe kehna na khud-garz hai.

Tasweer teri in aaNkhoN meiN kutchh is tarah se qaid hai
Ab dost na dushman hi sahi, rehne de isey kya harz hai.


Harash Mahajan@copyright

Sunday, July 18, 2010

Tere Ghar ka AaNgan mujhe barha suhana laga

Ek bete ka khat, maaN ke naam

Tere Ghar ka AaNgan mujhe barha suhana laga
Na jaane kyuN, kis kader mujhe ye purana laga

MaiN bade itminaan se aya hooN tere paas maaN
ik umar Guzaar loonga gar tujhe ye nazrana laga

Tere bas meiN gar ho toh bhool jaana woh Dard
Mere aane ki aahat ka tujhe, kabhi tadpana Laga

Na jane kya dekha, maine teri udasas ankhoN meiN
Gunahgaar huN tera aane meiN mujhe ik zamana laga

Hamarey milan se Gar jalne lagegi ye kamzarf duniyaN
Khaak ho jaayega kisi dushman ka koi kabhi Nishana laga

Terii Ik awaaz pe mera, Gup-chup sa paas chale aana
Pyaar hai tera, paas ki lehroN ko bhi, pata na laga



Harash Mahajan