Thursday, October 21, 2010

Shiddat se jisne chaha, usko chah na sake hum


Shiddat se jisne chaha, usko chah na sake hum
Jisko hamne dil se chaha, usko paa na sake hum
DuniyaaN meiN ai khuda bata ye khel kaisa hai
Kisi ka toda dil apna bhi bacha na sake hum

Friday, October 8, 2010

Meri tanhaaiyoN me ab tu mujhe bulaane lagi hai

Meri tanhaaiyoN me ab tu mujhe bulaane lagi hai
Meri manzileiN jo adig thieN unhe hilaane lagi hai
KyuN nahiN karte hisaab un beete hue lamhoN ka
Naahak hi be-dardi se tu mujhe sataane lagi ha

Galat Fehmi ka shikar shayad woh hone lage

Galat Fehmi ka shikar shayad woh  hone lage
Apne hathoN khud hi adhikar woh khone lage
Kar liya hai agar khud hi faisla bin adalat usne
Apni zindagi ka bhojh woh khud hi ddhone lage

Unki baatoN se seena chhalni hua hai

Unki baatoN se seena chhalni hua hai
Woh khush rahe dil se nikli ye dua hai
Khoon se lathpath ahsasoN ne bhi  ab
Tere dil se nikli aahoN  ko chhua hai

Unke kadmoN ko tumne sach khoob pehchana hai

Unke kadmoN ko tumne sach khoob pehchana hai
Tumhaari soch ka jaanta hooN yahi ik thhikana hai
Apne  kadmoN ko yahiN per rok lete toh achha tha
warna aNjaam faqat tera wahi purana fasana hai

Kitni raahat mili hai poora toot jaane ke baad

Kitni raahat mili hai poora toot jaane ke baad
Zindagi se jaa mile unke rooth jaane ke baad
Pathhra gayii jo aaNkheiN  unke intezar meiN
Zindagi se ja mile haiN mout ke aane ke baad

HasratoN ko kabhi chhupa ke na chaleiN

HasratoN ko kabhi chhupa ke na chaleiN
Jab bhi chaleiN mere saath saath chaleiN

Aasteen meiN saaNp ki jab bhi baat hoti hai

Aasteen meiN saaNp ki jab bhi baat hoti hai
Dukhte haiN zakhm phir dard bhi saath hoti hai
Dekhta hooN idher udher doondti hai nazreiN
har taraf ai dost bas terii hi baat hoti hai

Na RaheiNge hum, par mere hone ka ahsaas toh hoga

Na RaheiNge hum, par mere hone ka ahsaas toh hoga
Yaran-e-bazm sajegi, mere sheroN ka waas toh hoga

Meri aankhoN ko samander bana diya toone

Meri aankhoN ko samander bana diya toone
Meri raahoN ko banjar bana diya toone
Shikwe bhi shikayat bhi ab rehien adhhoorii
Mere yadoN ko khanzer bana diya toone

MaiN khush hooN nahiN shikwa koi zamane se

MaiN khush hooN nahiN shikwa koi zamane se
Merii iss baat ko kyuN jhoota bana diya toone
Shayad khabar hai tumeh ke tanha hooN maiN
Phir is tanhaayii ko kyuN rookha bana diya toone

Tujhe na chhoRh sakta hooN,Tera ho bhi nahiN sakta

Tujhe na chhoRh sakta hooN,Tera ho bhi nahiN sakta
Ye kaisi be-basi meri  yahaaN maiN ro bhi nahiN sakta


तुझे न छोड़ सकता हूँ तेरा हो भी नहीं सकता
ये कैसी बे-बसी मेरी यहाँ  रो  भी नहीं सकता |

______________हर्ष महाजन