Thursday, December 8, 2011

Uske husn-o-shabaab ka mujhe Andaza katyii na tha

Dosto ek kachhi Ghazal abhi abhi zehen se utri hai abhi doosri nazer bhi nahi daali hai....aapki nazer kar raha hooN umeed hai aapke dili tassuraat jaan.ne ka ishtiyaaq rahega....Shukriyaa
*********************************************


____________________Ghazal


Uske husn-o-shabaab ka mujhe Andaza katyii na tha
Varna shikwe-o-shikayat kabhi ZubaaN par na hoti.

ye zaroori nahiN ke wafa ka deiN wafa se wo jawaab
Gar hoti na chaahat toh shikaayat kahaaN kahaaN hoti.

Ishq bala kya hai na samjha hai na samjhega koi yaaro
Gar ilm hota toh batate ke mohabbat kaise jwaaN hoti

Uski baatoN se phizaN dil  ki mahek uth.ti hai agar
Meri chaahat hai ke ho ishq mera uski zubaaN hoti .

YuN toh kehte haiN ke ud jaati haiN ishq meiN needeiN
Dil agar hota phida uspe jo ishqiyaa khubaaN hoti.



_____________Harash Mahajan

2 comments:

  1. सुंदर पोस्ट ,...बहुत बढ़िया....
    मेरे नए पोस्ट में आइये और ...
    किसके दम पर इतनी बातें, इस पर भी हो जायें बातें
    दिल की धड़कन से हैं बातें, सासों पर निर्भर हैं बातें
    जब तक करती हैं ये बातें, तब तक है अपनी भी बातें
    अभी बहुत अनकही हैं बातें, सोच समझ कर करना बातें

    आज चली कुछ ऐसी बातें, बातों पर हो जाएँ बातें

    ReplyDelete