Saturday, April 25, 2009

--Nazm

Kab tak koi maikhane meiN daroo piya kare, 
Is jindagi ko yuN hi koi kyuN jiya kare. 

Shama agar de gair ke, gharoN meiN roshani, 
To jindagi meiN kyuN koi, wafa kiya kare. 

Itna bada hai dard ab, ki ban gaya dawa, 
To jindagi meiN kyuN koi, dawa kiya kare. 

Gam-o-khushi ke, lamhoN meiN hai, gam naseeb meiN, 
To jindagi se, kyuN koi, gila kiya kare. 

Napaak sa lage.a hai ab, har taraf mahoul, 
Toh jindagi meiN ‘harash' kyuN aansoo piya kare. 


Harash

No comments:

Post a Comment